Chup rehne me hi apni jeet hai


Sukoon milta hai ab khamoshi me
ye meri haar hai zindegi se
ki jeene ka ek naya tarika


jo kabhi mai bhi gur rata tha bhid me
sina thap thapata tha shaan se


par jab maloom hua apni hasti
kaise kar deta apne aap ko itni sasti


han par woh log toh samajhte hain kuch aur
bas mai ab unhe samjhata nahin
tadat unki jyada hai
akal kam
par hai shor unka bahut
chillar hai
jo mujhe totelneki karte hai jor har dam


han mujhe pata hai mai unke jaisa nahin hun
sayad unki dunia se alag meri dunia hai
pehchan meri kuch aur hai
par galat ye meri jagah hai..galat meri bhumika hai


mujhe kabhi na farak gira tha unka
apni khusi ke liye unko na kabhi parkha
han magar dekha hai unko laal ho jate hue
jab aajmate hain mujhe woh apni soch se


han tadat unki jyada hai
ab chup rehne me hi apni jeet hai... 

Comments