Waqt lagega thoda

Sab ke saath rehna bhi hai
manjil bhi pana hai
waqt lagega thoda
kyun ki sab ko saath leke chalna bhi hai..

pata hai mujhe mai jahan hun
woh jahaan kya hai
par mujhe ye ehsaas bhi hai
zindegi ki yahi toh fasana hai..

uchai tak pahanch ne ke liye
niche se shuruwat toh karni padegi
takrana padega in hawaon se
tabhi toh udne ki kuch asaar najar ayegi...

han magar waqt lagega thoda.

Comments